Listening to this qawwali this evening ... about drinking from the eyes of the beloved!
Saqi Ki Her Nigah Pe Bal Kha Kay Pee Gaya
Lehron Se Khailta Hua Lehra Kay Pee Gaya
Lehra Kay Jhoom, Jhoom Kay La, Muskra Kay La
Phoolon Kay Ras Mein Chand Ki Kirnain Mila Kay La
Kiyon Ja Rahi Hai Rooth Kay Rangeeni e Bahaar
Ja Aik Martaba Isse Phir Wargla Kay La
Kehte Hain Umar e Rafta Kabhi Laout'ti Nahi
Ja Maikada Se Meri Jawani Utha Kay La
Yeh Jo Diwane Se Do Chaar Nazar Atey Hain
In Mein Kuch Sahib e Asrar Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Yeh Log To Baidaar Nazar Atey Hain
Mere Daman Mein To Kanton Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Aap Phoolon Kay Khareedar Nazar Aate Hain
Kal Jinhe Choo Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar
Aaj Woh Ronaq e Bazar Nazar Aate Hain
Hashar Mein Kon Gawahi Meri De Ga Sagar
Sab Tumhare He Tarafdaar Nazar Aate Hain
Ker Rahi Hai Dar Haqeeqat Kaam Saqi Ki Nazar
Maikaday Mein Gardish e Sagar Bara e Naam Hai
Phiroon Dhoondta Maikada Tauba Tauba
Phiroon Dhoondta Maikada Tauba Tauba
Mujhe Aaj Kal Itni Fursat Nahi Hai
Salamat Rahe Teri aankhon Ki Masti
Mujhe Maikashi Ki Zarorat Nahi Hai
Na Gharaz Mujhe Harm Se, Na Khiyal e Maikada Hai
Meri Zindagi Hai Tum Se, Mujhe Tum Se Wasta Hai
Salamat Rahe Teri aankhon Ki Masti
Suroor Cheez Ki Miqdar Per Nahi Moqoof
Sharab Kam Hi To Saqi Nazar Mila Ker Pila
Salamat Rahe Teri aankhon Ki Masti
Jaam Per Jaam Peene Ka Kia Faida
Subha Tak To Yeh Sari Utar Jaye Gi
Teri Nazron Se Pee Hai Khuda Ki Qasam
Umar Sari Nashe Mein Guzar Jaye Gi
Salamat Rahe Teri aankhon Ki Masti
Khanakte Jaam Ka Mohtaj Mein Nahi Saqi
Teri Nigah Salamat Mujhe Kami Kia Hai
Salamat Rahe Teri aankhon Ki Masti
Dil Uska Namazi Ban Jaye Aankh Uski Gulabi Ho Jaye
Tu Jis Ko Mohabbat Se Dekhe Saqi Wo Sharabi Ho Jaye
Salamat Rahe Teri aankhon Ki Masti
Mujhe Maikashi Ki Zarorat Nahi Hai
Yeh Tarq e Taluq Ka Kia Tazkra Hai
Tumhare Siwa Koi Apna Nahi Hai
Agar Tum Kaho To Mein Khud Ko Bhula Don
Tumhe Bhool Jane Ki Taqat Nahi Hai
Her Ik Morr Per Ik Nai Maat Khaai
Rahi Dil Ki Dil Mein Zuban Tak Na Ai
Kiye Hain Kuch Aese Karam Doston Ne
Kay Ab Dushmano Ki Zaroorat Nahi Hai
Hazaron Tamannaien Hoti Hain Dil Mein
Hamari To Bus Ik Tamanna Yehi Hai
Mujhe Ik Dafa Apna Keh Ker Pukaro
Bus Iss Ke Siwa Koi Hasrat Nahi Hai
Phiroon Dhoondta Maikada Tauba Tauba
Mujhe Aaj Kal Itni Fursat Nahi Hai
3 Comments
Thank you Sir for sharing, this is amazing performance. Do you have an English translation available of this Qawwali ? I could not find it on the web. Stéphanie
ReplyDeletehttps://docs.google.com/document/d/10VV2UMYSEo24I0__ziBFV1OGtIp-u4nyCgzty45m850/edit
DeleteHere is a google doc with my best attempt at a translation. Feel free to email me any suggested edits.
Delete