Rind jo mujhko samjhte hain - Jagjit Singh





Rind jo mujhko samjhte hain unhen hosh nahin
Me'kada saaz hun me'kada bar'dosh nahin.


Paon uth sakte nahin manzil-e-janaa ke khilaaf
Aur agar hosh ki poochho to mujhe hosh nahin

Ab to taseer-e-gham-e-ishq yahaan tak pahonchi
Ki idhar hosh agar hai to udhar hosh nahin

Konsa jalwa yaha'n aate hi be'hosh nahin
Dil mera dil ha koi saghar e sar-josh nahin.

Husn se ishq juda ha,na juda ishq se husn
Konsi shay ha?jo aaghosh-dr-aaghosh nahin.

Mit chuke zehan se sab yaad-e guzishta k nuqoosh
Phir bhi aek cheez ha aesi k faraamosh nahin.


Kabhi un madh'bhari ankhon se piyaa tha ik jaam
Aaj tak hosh nahin, hosh nahin, hosh nahin.


Ishq agr husn k jalwon ka ha marhoon-e karm
Husn bhi ishq k ahsaas se subakdosh nahin.


Mehwe tasbeeh to sab hain magr idraak kaha'n

Zindagi khud hi ibaadat ha magr hosh nahin.



Mil ke ik baar gaya hai koi jis din se JIGAR

Mujhko ye weham hai jaise mera aaghosh nahin.

0 Comments