Umr jalwon mein basar ho - Jagjit Singh Rare - Lyrics & Translation

A ghazal by Khamosh Ghazipura
 



عمر جلووں میں بسر ہو یہ ضروری تو نہیں ہر شبِ غم کی سحر ہو ضروری تو نہیں 
Umr jalwon mein basar ho yeh zaroori toh nahi
har shab-e-gham ki sehar ho yeh zaroori toh nahi
Its not necessary that one’s whole life is spent in the company of beautiful people
Its not necessary that every night of despair ends in a morning of happiness

Alternative:
Life has to go on having Splendors it's not necessary though.
Every Night of sorrow has to end its not necessary though.


Chashme saaki se piyo ya labe saagar se piyo
bekhudi aathon pehar ho ye zaroori to nahin

Whether you drink from the eyes or lips
it is not necessary that there will be unconsciousness all the time

آگ کو کھیل پتنگوں نے سمجھ رکھا ہے سب کو انجام کا ڈر ہو ضروری تو نہیں 
Aag ko khel patangon ne samajh rakha hai 
Sabko anjaam ka dar ho ye zaroori to nahi 
(The moths cosider playing with fire as a game 
Its not necessary that everybody is afraid of the consequences) 

نیند تو درد کے بستر پہ بھی آ سکتی ہے اُن کی آغوش میں سر ہو یہ ضروری تو نہیں
Neend toh dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
unki aaghosh mein sar ho yeh zaroori toh nahi
(One can sleep on a bed of rocks too
Its not necessary that my head is in the lap of my beloved)

سب کی ساقی پہ نظر ہو یہ ضروری ہے مگر سب پہ ساقی کی ںظر ہو یہ ضروری تو نہیں
Sabki saaki pe nazar ho yeh zaroori hai magar
Sab pe saaki ki nazar ho yeh zaroori to nahi
(Its necessary that everyone is looking at the bartender (object of desire!)
Its not necessary that the bartender is looking at every one)

شیخ کرتا تو ہے مسجد میں خدا کو سجدے اُس کے سجدوں میں اثر ہو یہ ضروری تو نہیں
Sheikh karta toh hai masjid mein khuda ko sajde
Uske sajdon mein asar ho yeh zaroori toh nahi
(The priest prays to God in the mosque
Its not necessary that his prayers will come true

آپ روئے میری میّت میں اتنا کافی ہے سب کی آنکھوں میں نمی ہو یہ ضروری تو نہیں
Aap roye meri mayyat mein itna kaafi hai
Sabki aankhon mein namee ho ye zaroori to nahi
(I am content that you cried at my funeral
Its not necessary that everyone has tears in their eyes)

گ چمن میں بہاریں بھی لگا سکتی ہیں کہیں بجلی ہی گری ہو یہ ضروری تو نہیں 
Aag chaman mein bahaaren bhi laga sakti hain 
Kahin bijli hi giri ho ye zaroori to nahi 
Its not necessary that everybody has got a good life 
Even spring can burn down the garden Its not necessary that the lightning has struck


mai-kashī ke liye ḳhāmosh bharī mahfil meñ 
sirf ḳhayyām kā ghar ho ye zarūrī to nahīñ 

O Khamosh in this for drinking in this world
its not necessary that you need khayyam's house,

1 Comments

  1. wah wah , thanks a lot for posting new shers of this gazal. thank u sirji

    ReplyDelete